Thursday, April 14, 2005

lehren phizool sahil se takrati nahi
samandar ki gehrayi se koi paigam leke aati hain

bebaak bikhar ke apni thakaan mitati hain
do pal susta ke fir sagar se milne chali jaati hain

jo khawab dhoop nikalte hi mar jaye
woh khawab nahi khwaishen hoti hain

Khawab hote hain rooh ki gehrayi main
khud se milne pe fark nazar aata hai
khawab aur khwaish main

Ansh..April 14.

Reposte to Max on:

Lehron-ka phuzul sahil-se takrana
Takraa-kar bebaak bikhar jaana
Jaise khwabon-ka dhoop nikalté hi
Sar patak patak kar mar jaana.

6 comments:

  1. hi...
    gr8 to see u r postings....everything has got a good meaning....so, i just wanted to say hello..and few words too..
    ------------------------------------------
    ek din hum yu hi mil jaye tho,
    aur khwaab suchh ho jaye tho,
    tho hum kisse kahe ki hua mera sapna suchh..
    aur mila mujhe jiska tha mujhe intazaar...
    waqt badal jatha hai, aur yaadein rah jathi hain...
    jo hamari jindagi ke raah bun jaathi hain...
    kya patha kis mod par kya ho jaye,
    kisi ki yaad mein hum jindagi bithha dein,
    aur roz uska karen intazaar...
    kyonki...duniya ke kisi konne mein koi kar raha hai tumhara intazaar...
    rab kare ki khwaab ho jaye suchh...aur gham kho jaye kahi door...
    -----------------------------------------
    hope u have a gr8 time...and gr8 day.
    keep smiling,
    have a nice4 day,
    hemanth

    ReplyDelete
  2. Bahut pyara aur alag andaaz hai apka. Khuda apko salamat rakhe.
    Deepak

    ReplyDelete
  3. Hi Ansh.. got to your blog thro yr ryze page and it was amazing to read all yr poems...

    not that am any poet but loved reading them all...

    All the very best...
    Aap ke sare khwab pure hoon..!!

    ReplyDelete
  4. Koi itna bhi accha likh sakta hai?

    ReplyDelete